Sunday, July 31, 2011
bulla ki jaana main kaun
Mai.n aaj apne saare geet shehar kii deevaaro.n parr likhna chahtaa hoo.n, taaki kisi ko bhi tumhaari aankho.n ka kaajal chori na karnaa padday. Mai.n apne sitar ke surr bha.nvro.n kii gunjann ke saath baa.ndhnaa chahtaa hoo.n taaki kisi ko bhi chaand se tumhare ghar ka pataa poochnaa na padday. Mai.n jaanta hoo.n zindagi kabhi darr nahi sakti aur maut kabhi marr nahi sakti. Issiliye sooraj se lagataar pooch raha hoo.n ki iss shehar ke dareecho.n parr chaand kabb thehrega?
Tumaahri chhann-chhann karti paayal jab sattrangi indradhanush ke kamaan se chhoot’tee hai toh meelo.n-lambi khamoshi achaanak gunngunaa leti hai. Saavan ki phuhaar purvaa ke aa.nchal se lipti boodhay Baba ke aashirvaad ka maun spandann mere maathay ki jhurriyo.n mei.n sajaa deti hai. Pardes mei.n sohar mere a.ngnaa gungunaati hai aur phaag aur chaitee apne anoothay rang bikhair deti hai.
Abbke jaane Ganga Kinaare koi ka.nvariyaa Shivling ki archanaa mei.n kalash ka neer chadhaati hogi? Jaane Baba ke saamne chandann se lipte kisi bhaa.nvre ke haath kisi manchali ki maa.ng mei.n jeevan-yatra ka vishvaas bhar rahe ho.nge? Jaane abb hum tum kahi.n mill bhi rahe ho.nge? Ye gaatha hai aur ye swapno.n ke sheeshmahal mei.n janmi hai, aur swapno.n ke sheeshmahal mei.n annginatt chehre saamne aate hai.n. Kuch apne, aur kuch apne hokar bhi paraaye-paraaye se aur in mehalo.n mei.n jo raasta nahi pehchaan paate, bhool-bhulaiyya.n mei.n kho jaate hai.n.
Jaane kyo.n kahaniya.n sunaate sunaate gala roondh jaata hai, be’buss aa.nsoo ki ladi lag jaati hai. Haath aa.nkh takk lejaane ko mann karta hai. Parr haath hee kahaa.n hai.n, voh toh aastaa.n parr dua maa.ngte maa.ngte chhoot jaate hai.n
Bhulleya kee jaanaa.n mai.n Kaun?
(English Translitteration by Sh.Alok Aima)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment