Monday, January 3, 2011


Zindagi taar taar ho jaye to sonchna kya aur samajna kya, sonch liya to mansoor ki khaal utartee hai, na soncha to Meera zehar bhi pee leti hai.Jahan dimag barbad karta hai wohin dil aabad karta hai.Bule shah ki hadiyaan abhi tak rakse bismil main mubtala hain aur kanjar khana sukhan dar sukhan aawaz de raha hai.Meeloon lambi khaamoshi aur tumhara aqs ustaraf, par ek bhi pag barne ki jurat nahi karta. Zid hai bas milo to yahin milo, us par jo aa gaye hum to deewana kya aur hamara pairahan tar tar kya.
Utartee hongee kirnen chamakte honge titliyoon ke par, meri khidkee par na ruka to sooraj kya aur chand kya? Wahshat si hai jo tumhara naam lete hi lipat jatee hai wajood se, kya pata kab tumhare faisle haqeeqatoon ke maanee badlen.Ab bas karo bahut thak gaya hoon main, soncha bhi nahi jata ki kitnee baar gir ke utha hoon main. Ek aalme badhawasi hai jo bhoolne nahi deta kuch bhi, varna hum se hamara pata bhi nahi poocha jata. Bas karo thak gaya hoon main.

No comments:

Post a Comment